Sunday, 15 April 2012

Dilon me tum apni betabiyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum Nazar me khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum Hwa ke jhokon ke jaise aazad rehno sekho Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna sekho Hr ek lamhe se tum milo khole apni baahein Hr ek pal ek nya sama dekhe nigahein Jo apni ankhon mein hairanian leke chal rahe ho,to zinda ho tum Dilon mein tum apni betabian leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Pighle neelam sa behta ye sama, neeli neeli si khamoshiyan, na kahin hai zameen na kahin aasmaan, sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan, keh raheen hai bas ek tum ho yahan, bas main hoon, meri saansein hain aur meri dhadkanein, aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan, aur main… sirf main. Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.
Jab jab dard ka baadal chaya Jab ghum ka saya lehraya Jab aansoo palkon tak aya Jab yeh tanha dil ghabraya Humne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai Duniya mein yunhi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda ghum hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai

 Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
    Bas ankhon say hai jhaankti
    Tumse kabhi, mujhse kabhi
    Kuch lafz hain woh maangti
    Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
    Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
    Lekin jo yeh ik baat hai
    Ahsas hi ahsas hai

    Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
    Khushboo jo be-aawaaz hai
    Jiska pata tumko bhi hai
    Jiski khabar mujhko bhi hai
    Duniya se bhi chupta nahin
    Yeh jaane kaisa raaz hai